Monday, June 1, 2009

Australia me bhartiya chhatron ke saath kiya gaya naslawadi atyachar kya hamare Jame (Freedged)/thande hote khoon ki pehchan nahi hai? Ek bahot lambi gulami jhelne ke baad shayad hamari mansikta gulam jaisi ho gayi hai.
Yah ghatnaein safed chamdi walo ki sankeerna mansikta ko darshati hai. Widambana yeh hai ke is sab ke bawajood hum videsh jane aur videshi cheejo ka moh nahi chhod paa rahe hai. Akhir kyon?
A. Azadi ke baad se aaj tak Hamari sarkaro ne bharatwanshiyon ke liye kya kiya?
B. Roj hone wali aise ghatnaon ki pratikriya ke roop me kya sirf sambandhit desh ke ucchhayukt ke samne ek virodh pradarshit kar dene bhar se in ghatnaaon ki punrawratti ruk sakegi?
C. Un deshon ki sarkaro par kyun manvadhikarwadi sangthan nakel nahi kaste hai?


Kya hum sab ko iske virodh me aawaz nahi uthani chahiye?
Agar haan to fir hum khamosh kyu hai?
Wahan par jo peete gaye hai unme se hamara koi rishtedaar ya saga nahi hai kya is liye?
Kisi chhote se Railway Station par train ke stopage ki maang puri karwane ke lye train ki bogiyaan jalai ja sakti hai to apne bhai, beto ko peete jane par hum khamosh kyu hai?


Jaago Bharat wasiyon JAAGO. Apna mukhar virodh prakat karo?

Monday, December 22, 2008

Kuchh Dil Ki Awaz

Siskiyan
(1)
Hum na keh sake tabo se, tum na badh sake hadon se,
Chingari jo sulgi thi dilon me, “Betaul” nami aa gayi aankhon me usi ki dhuwein se.
(2)
Juban talashti rahi mauka unse haal-e-dil batane ka,
Na pata “Betaul” kab wo nazrein jhuka ke alwida keh gaye.
(3)
Hum mangte rahe unhe duwaon me, wo khoja kiya hame fazaon me,
Sangdil hui duwaein, khijra hui fazaien,
Ab to zindgi apni gujregi “Betaul” siskiyon aur karahon me.
(4)
Tumhari mauzoodgi thi mere andhere dil roshan shama,
Rukhsati se tumhari, ab ye safar bhi thama,
Na chale hum kabhi ek saath rah-e-hayat me,
Magar tere jaane ki dil me ek “Betaul” chubhan se hai,
Dekho, mere hontho ki ye hasi mere udhade hue dil ki Siwan se hai.


P. Atul...
22-12-2008

Saturday, December 20, 2008

PHOTO, VIDEO, WALLPAPER KE LIYE TO PURA INTERNET BHARA PADA HAI. APNE FUTURE K LIYE KAB DISCUSS KAROGE?

Hi Frn,

M Atul from the great land of Mangal Pandey, Chandra Shekhar Azad etc. Ya ya... obisouley it is U.P.

I want to share my feelings towards our country, society & culture. As all of you know that all of we are suffering from partiality, bad & mean politics as well as politicians also.

its not good for our future. So, we have to share our thoughts try to get solutions of problems raising day to day.

PHOTO, VIDEO, WALLPAPER KE LIYE TO PURA INTERNET BHARA PADA HAI. APNE FUTURE K LIYE KAB DISCUSS KAROGE?

Its my first text on this blog. But i wish to see u'r comments regularly. so pl. visit 1 time daily to share our problems, thoughts & feelings.

Thanks,